Pages

Monday, 15 October 2012

Fasl-e-Khirad Hai Rung-e-Chaman Dekhtay Chalo

Fasl-e-Khirad Hai Rung-e-Chaman Dekhtay Chalo
Phir Ehtmaam-e-Daar-O-Rasan Dekhtay Chalo

Dilchasp Waqea Hai Ke Sehra Ki Dhoop Mein
Zarro’n Ka Jal Raha Hai Badan Dekhtay Chalo

Tanqeed Mat Karo Ke Zamana Kharab Hai
Chup Chaap Dosto’n Ka Chalan Dekhtay Chalo

"Mohsin" Shab-e-Siyaah Bhi Orhay Huay Hain Aaj
Shaffaaf Chandni Ka Kafan Dekhtay Chalo



Join for More

0 comments:

Post a Comment